At Ishqe Kalam, we bring you a curated collection of Parveen Shakir’s best ghazals, celebrating one of the most celebrated poets in the world of Urdu literature. Parveen Shakir’s work is known for its emotional depth and unique ability to capture emotions and experiences specific to women. His ghazals are full of kindness, pain and deep insight into human emotions, and continue to resonate with readers around the world.

Through her powerful and beautiful words, Parveen Shakir redefined the role of women in poetry, bringing to the fore their passions, struggles and untold emotions. At Ishqeklam, we honor his legacy by sharing some of his best ghazals that express a delicate balance of love, sadness and strength. Every poem we present is a tribute to his ability to express the ineffable, to make his readers feel seen, understood and connected to the rich cultural heritage of Urdu poetry.

romantic parveen shakir poetry

best parveen shakir ghazal
best parveen shakir ghazal

Qaid mein guzray gi jo umr baday kaam ki thi
Par main kya karti ke zanjeer tere naam ki thi

Jis ke maathe pe mere bakht ka tara chamka
Chaand ke doobne ki baat usi shaam ki thi

Maine haathon ko hi patwaar banaya warna
Ek tooti hui kashti mere kis kaam ki thi

Woh kahani ke abhi soyiyan nikli bhi na thin
Fikr har shakhs ko shehzadi ke anjaam ki thi

Yeh hawa kaise uda le gayi aanchal mera
Yoon satane ki to aadat mere Ghanshyam ki thi

Bojh uthate huay phirti hai humara ab tak
Ae zameen maa teri yeh umr to aaram ki thi

best parveen shakir ghazal
best parveen shakir ghazal

Aks-e-khushboo hoon bikharne se na roke koi
Aur bikhar jaaun to mujhko na samete koi

Kaanp uthti hoon main yeh soch ke tanhai mein
Mere chehre pe tera naam na parh le koi

Jis tarah khwab mere ho gaye rezah rezah
Us tarah se na kabhi toot ke bikhray koi

Main to us din se haraasaan hoon ke jab hukum mile
Khushk phoolon ko kitaabon mein na rakhe koi

Ab to is raah se woh shakhs guzarta bhi nahi
Ab kis umeed pe darwaze se jhankay koi

Koi aahat, koi awaaz, koi chaap nahi
Dil ki galiyan bari sunsaan hain aaye koi

best parveen shakir ghazal
best parveen shakir ghazal

Kaise chhodain use tanhai par
Harf aata hai maseehai par

Uski shohrat bhi to phaili har soo
Pyar aane laga ruswai par

Yeh thehrti nahi aankhein, jaana
Teri tasveer ki zebai par

Rashk aaya hai bohot husn ko bhi
Qamat-e-ishq ki ranai par

Satah se dekh ke andazay lagein
Aankh jaati nahi gehraai par

Zikr aayega jahan bhanwron ka
Baat hogi mere harjaai par

Khud ko khushboo ke hawalay kardein
Phool ki tarz-e-pazeerai par

best parveen shakir ghazal
best parveen shakir ghazal

Baja ke aankh mein neendon ke silsile bhi nahin
Shikast-e-khwaab ke ab mujh mein hosle bhi nahin

Nahin nahin yeh khabar dushmanon ne di hogi
Woh aaye aa ke chale bhi gaye, mile bhi nahin

Yeh kaun log andheron ki baat karte hain
Abhi toh chaand teri yaad ke dhale bhi nahin

Abhi se mere rafu-gar ke haath thakne lage
Abhi toh chaak mere zakhm ke sule bhi nahin

Khafa agarche hamesha hue, magar ab ke
Woh barhami hai ke hum se unhein gile bhi nahin

best parveen shakir ghazal
best parveen shakir ghazal

Qariya-e-jaan mein koi phool khilane aaye
Woh mere dil pe naya zakhm lagane aaye

Mere veeran dareechon mein bhi khushboo jaage
Woh mere ghar ke dar-o-baam sajane aaye

Us se ek baar toh roothoon mein usi ki manind
Aur meri tarah se woh mujh ko manane aaye

Usi kooche mein kai uske shanasa bhi toh hain
Woh kisi aur se milne ke bahane aaye

Ab na poochhoon gi mein khoye hue khwabon ka pata
Woh agar aaye toh kuch bhi na batane aaye

Zabt ki shehr panaahon ki mere Maalik khair
Gham ka sailaab agar mujh ko bahane aaye

best parveen shakir ghazal
best parveen shakir ghazal

Arsa-e-khwaab mein khone nahin deta mujh ko
Koi dhadkka hai ke sone nahin deta mujh ko

Daal deta hai woh har roz nayi uljhan mein
Khud se ghaafil kabhi hone nahin deta mujh ko

Dukh toh aisa hai ke dil aankh se kat kat ke bahe
Ek waada hai ke rone nahin deta mujh ko

Raasta us ko bhi maaloom nahin hai shayad
Phir bhi jungle mein woh khone nahin deta mujh ko

Dil ki manind shikasta bhi hai be-manzil bhi
Nao lekin woh dubaane nahin deta mujh ko

Badh gaya dil mera eeza talab mein tujh se
Zakhm bhi ab toh yeh dhone nahin deta mujh ko

Jis se phootay koi saaya koi khushboo koi rang
Beej aisa koi bone nahin deta mujh ko

Jhoot likhoon toh koi haath pakad leta hai
Nabz mein rooh nahin simone nahin deta mujh ko

Un sitaron se bulawa mera aata hai ke jo
Chaadar-e-khaak pe sone nahin deta mujh ko

For more poetry:

Allama Iqbal Poetry

عشق پر خوبصورت شعر اور غزل

1 COMMENT

Leave A Reply

Please enter your comment!
Please enter your name here